main ne dukh nahin dekha
main ne kuchh nahin dekha
main ne sukh nahin dekha
main ne kuchh nahin dekha
duniya meri hatheli se bahar kya rahi hogi main ne dekha
zamin par shayad sailab aaya tha
main ne dekha ki dhup chaunki
aur bhag kar daraKHton ki choTiyon par chaDh gai us ka rang faq tha
aur us ki umr terah baras se ziyaada na thi
sailab ne us ke panw chhu liye use phir bhi yaqin nahin aaya
jaise kah rahi ho
jao mujhe apne yaqini par kabhi yaqin nahin aaya
be-iman aadmi ki tarah
main be-yaqin hun
ye log kahani sunate sunate ruk jate hain
aur KHamoshi ko sunate sunate ruk jate hain
jaise tir-e-arzu hawa aur parinda chhide hue tirchhe zawiye bana kar
zan se guzar gae hon
aur jaise un sab ko ek nazar mein sab ne dekh liya ho
jin samundaron par ye parinde girenge
wahan bahut shor hoga
aur log kahaniyon ko amanat kar ke dariya mein baha dete honge
ye log tambaku ke patton mein apne dil lapeT kar bo dete honge
raat nahai hui kabutari ki tarah meri khiDki mein aa baiThti hai
aur dete se baaten karne lagti hai
main munafiqat ko chir kar par nikal jaana chahti hun
raat jo maqtulon ke KHun ko siyah aur sard kar deti hai
aur qatilon ko panah deti hai
raat jo qatilon ko panah deti hai ki wo apne hath dho len
din jo salamti par lanat bhejta hai tulua hota hai
aur range hue hathon ko pakaD leta hai
aur un ke chehron ko nanga kar deta hai jin ki aankhon mein
marne walon ki shabihen jam gain hoti hain
taki hone wale maqtul un ka badla le saken
din jo raat ko chaak kar ke tulua hota hai
sar-e-am unhen phansi ka elan karta hai
sar-e-am apni saza ka elan sunta hai
din jis ko bachchon ne libas kiya
aur suraj khel gae
Nazm
Ain-ul-yaqin
Nasreen Anjum Sethi