ai zamistan ki hua tez na chal
is qadar tez na ho mauj-e-subuk-KHez ki rau
kahin ashjar ke KHemon ki tanaben kaT jaen
zard patte hain abhi gulshan-e-hasti ka singhaar
kah rahi hai ye abhi ahd-e-guzashta ki bahaar
rang-rafta hun magar aaj bhi taswir mein hun
murtasim hain meri shaKHon pe meri yaad ke chand
main hanuz apne KHayalat ki zanjir mein hun
abhi patton pe chamak uThta hai rangon ka ghubar
abhi shaKHon mein lahak jati hai bulbul ki pukar
barg-rizan se kaho shahar se bahar Thahre
shahar ke bagh se bustan-e-dabistan se pare
barg-e-larzan mein taDapta hai abhi zauq-e-numu
par-e-taus mein hai raqs ki KHwahish ab bhi
abhi karta hai chaman chaak-e-gareban ko rafu
yun to qanun hain fitrat ke aTal
ai zamistan ki hawa tez na chal
sai-e-malbus mein hain kitne nagon baKHt-e-zabun
zindagi jin ke liye sahn-e-saman-posh nahin
dur ke des se aai hui utran ke liye
mard-o-zan kucha-o-bazar mein ruswa hain abhi
jaise ho qahr-e-mujassam teri yaKH-basta jabin
teri aahaT mein ho jaise kisi dahshat ka payam
teri dastak se larazte hain makan aur makin
wo makan jin ke dar-o-baam dar-o-baam nahin
wo makin jin ke liye ishrat-e-ayyam nahin
jin ke lahjon mein nahin lazzat-e-guftar ka rang
jin ki aawaz mein hain tira-nasibi ke azab
jin se tahzib liya karti hai jine ka KHiraj
jin ki har sans hai andesha-e-farda ka nisab
is qadar tund na ho dekh sambhal
ai zamistan ki hua tez na chal
Nazm
Ai zamistan ki hawa tez na chal
Aslam Ansari