ai subh-e-watan ai subh-e-watan
ai ruh-e-bahaar ai jaan-e-chaman
ai mutrib ya ai saqi-e-man
ai subh-e-watan ai subh-e-watan
le josh-e-junun ki zarbon ne zanjir-e-ghulami toD hi di
jamhur ke sangin panje ne shahi ki kalai moD hi di
tariKH ke KHunin hathon se chhina hai tera simin daman
ai subh-e-watan ai subh-e-watan
phir lauT ke aaya sadiyon mein iqbaal-o-tarab ka sayyara
kirnon mein ufuq par phir chamka pasti ke andheron ka mara
hairan hairan nazan nazan KHandan KHandan raushan raushan
ai subh-e-watan ai subh-e-watan
dharti ke tabassum se chamke afaq-e-abad ke sayyare
zulmat ke tarannum se phuTe nur-e-abadiyat ke dhaare
zarron ko taghayyur ne baKHsha ek moajiza-e-KHurshid-shikan
ai subh-e-watan ai subh-e-watan
soe hue zarre jag uThe anwar-e-sahar bedar hue
ehsas-e-zamin bedar hua afkar-e-bashar bedar hue
bistar se KHazaf reze uTThe aur lal-o-gohar bedar hue
aankhon ko mila gulzaron ne shaKHon par samar bedar hue
nainon se masti barsati lo jag uThi hasti ki dulhan
ai subh-e-watan ai subh-e-watan
banjar dharti ki nas nas mein paudon ka taKHayyul lahraya
ujDe kheton par saya hai gehun ke sunahri KHoshon ka
har barg-e-fasurda ne khincha doshiza bahaaron ka daman
ai subh-e-watan ai subh-e-watan
sunsan bayabanon mein hai ek jazba-e-gulshan-arai
viran khanDaron mein leta hai mahlon ka tasawwur angDai
sipi ki ru-pahli jholi mein hain aaj hazaron durr-e-adan
ai subh-e-watan ai subh-e-watan
zarraat mein karwaT lene lage so lala-ruKHsan-o-mah-e-jabin
sangin chaTanon mein jage asnam ke KHadd-o-KHal-e-hasin
hai dair ki kaba kya jaane hai kaun sa aalam zer-e-zamin
masjud nahin hai koi bhi sajde mein magar jhukti hai jabin
naqqash hai teri parchhain aazar hai tere suraj ki kiran
ai subh-e-watan ai subh-e-watan
aahan ki salabat mein ubhra masum tasawwur narmi ka
phulon ki latafat mein umDa aahan ban jaane ka jazba
qarnon ki KHamoshi ko hasrat hai sail-e-bayan ban jaane ka
sadiyon ki udasi ko zid hai ek nutq-e-jawan ban jaane ka
har sans ke andar ghaltan hai taghir ke sine ki dhaDkan
ai subh-e-watan ai subh-e-watan
parbat parbat sagar sagar parcham apna lahraata hai
mahlon pe milon pe qilon par azmat ke tarane gata hai
gul-bar rida-e-azadi sarshaar jawani ka parcham
ye amn ke naghmon ka mutrib KHamosh baghawat ka ye alam
tahzib ka ye zarrin aanchal tamir ka ye rangin daman
ai subh-e-watan ai subh-e-watan
qandil-e-sahar nur-e-manzil KHurshid-e-sahar sham-e-sahil
ye KHun-e-shahidan ka maKHzan ye dard-e-rafiqan ka hasil
ye amn ka lahraata gesu ye sidq-o-mohabbat ka darpan
ai subh-e-watan ai subh-e-watan
ab kheton mein gandum hi nahin sona bhi ugega ai saqi
baKHshega taghayyur bhukon ko ek rose mizaj-e-zarraati
ab hire moti uglenge ye bagh-o-sahara koh-o-daman
ai subh-e-watan ai subh-e-watan
ganw ko sunaenge muzhda ehsar-e-hasin ban jaane ka
zarron ko sandesa denge taDap kar mahr-jabin bin jaane ka
aur tere ufuq ki lali se hote hain sitare bhi raushan
ai subh-e-watan ai subh-e-watan
ab KHak qadam majburon ki barsaegi duniya par sona
ab atlas ki qismat hogi pairahan-e-mehnat-kash hona
paDte hi nigah-e-saiqa-e-zan jal uTThega har nazm-e-kuhan
ai subh-e-watan ai subh-e-watan
kheton ki zamin unchi ho kar firdaus se rishta joDegi
ab hal ki ani sarmasti mein aakash ke tare toDegi
wo din bhi ab kuchh dur nahin jab sayyare honge aangan
ai subh-e-watan ai subh-e-watan
Nazm
Ai subh-e-watan
Saghar Nizami