tujhe kuchh us ki KHabar bhi hai ai nigar-e-watan
tere liye koi sina-figar hai ab bhi
uTha chuka hun fareb-e-wafa ke dagh magar
shikasta dil ko tera e'tibar hai ab bhi
hazaron kahkashan ne bichhae jal magar
meri nazar mein teri rahguzar hai ab bhi
wo ek qatra jo Tapka tha tere daman par
wo ek naqsh mera shahkar hai ab bhi
wo ek lamha tere gham mein jo guzara tha
sukun-e-KHatir-e-be-iKHtiyar hai ab bhi
wo kisht-e-dil ki jise aansuon ne sincha tha
harif-e-chashmak-o-barq-o-sharar hai ab bhi
KHizan ne yun to kai sabz-bagh dikhlae
bahaar muntazir-e-nau-bahaar hai ab bhi
rawish rawish pe hain charche KHizan-nasibi ke
kali kali ki nazar sogwar hai ab bhi
lahu Tapakta hai gulchin ki aastinon se
qaba-e-lala-o-gul daghdar hai ab bhi
bahut qarib hain ab bhi qafas ki diwaren
bahut buland sar-e-shaKH-sar hai ab bhi
Nazm
Ai nigar-e-watan
Akhtar Payami