اردو हिंदी
Ai mubaraz-talab | Shaahi Shayari
ai mubaraz-talab

Nazm

Ai mubaraz-talab

Faheem Shanas Kazmi

;

ishq ki tund-KHezi ke auqat aaKHir hue
ai mubaraz-talab zindagi

alwida
alwida apne auqat aaKHir hue

KHwab ki lahr mein
dard ke shahr mein

gard raKHt-e-safar
dil lahu mein hai tar

zindagi kaT gai tegh ki dhaar par
sajda karte jabin kitni zaKHmi hui

aur KHuda aaj tak hum se raazi nahin
aur zamin saKHt hai

manzilen gard hain
baadalon ki tarah gham barasta raha

chaar jaanib yahan aag hi aag hai
ai mubaraz-talab zindagi

pyar ke phul le
dard ki dhul le

mere hone ke sab KHwab lauTa mujhe
aaKHiri sham hai

aaKHiri marka hai
ki phir is ke baad

hum kahan tum kahan
aur hue bhi agar to phir aaise kahan

aaKHiri war tera hai kari bahut
gham ki shiddat se dil mera bhaari bahut

war
ek aur war

maut ke sard bose se sarshaar dil
teri qurbat ki chahat mein marta raha

umr bhar tujh se jari raha marka
ai mubaraz-talab zindagi

din bhi Dhal hi gaya
sham bhi thak gai

ruh-e-umr-e-rawan
ho rahi hai azan

sham Dhalne se pahle hamein ajr de
yun hamein ajr de

jaan rahe hi nahin
KHasta tan mein kahin

hum kahen alwida
alwida

ai mubaraz-talab zindagi
ishq ki tund-KHezi ke auqat aaKHir hue

zindagi tere lamhat aaKHir hue