اردو हिंदी
Ai mere KHwab | Shaahi Shayari
ai mere KHwab

Nazm

Ai mere KHwab

Iliyas Babar Aawan

;

ai mere KHwab
hunar-KHez riwayat ke amin

inkishafat ki daryuza-gari chhoD bhi de
gard-e-hangam mein tartib se rakh

aankh ki KHasta fasilon se gire KHisht-mizaj
un chune zard gulon se Dhake kuchh soKHta pal

samt ka koi tayyun to nazar mein Thahre
ai mere KHwab

mere sath na chal
mujhe darpesh hai la-samt samaj

ek virani tamashe mein gundhi
ye tamasha nahin paband-e-charagh

gard ne raKHt-e-safar aankh ka chhal
ghar kahan hai koi ghar mein Thahre

ai mere KHwab
minaron pe parinde utre

jaane kis KHauf se jangal se palaT aae hain
Dar hai ye surKH aqiqon ko nigal jaenge

sansanati hui tanhai mein ghir jaenge
un ko darpesh hai ab hijr ka thal

is KHarabe mein bhala kaun safar mein Thahre