ai matawalo naqon walo dete ho kuchh us ka pata
najd ke andar majnun nami ek hamara bhai tha
aaKHir us par kya kuchh biti jaano to ahwal kaho
maut mili ya laila pai? diwane ka maal kaho
aql ki baaten kahne wale doston ne use samjhaya
us ko to lekin chup si lagi thi na bola na baz aaya
KHair ab us ki baat ko chhoDo diwana phir diwana
jate jate hum logon ka ek sandesa le jaana
aawara aawara phirna chhoD ke manDli yaron ki
dekh rahe hain dekhne wale 'insha' ka ab haal wahi
kya achchha KHush-bash jawan tha jaane kyun bimar hua
uThte baiThte mir ki baiten paDhna us ka shiar hua
taur-tariqa ukhDa-ukhDa chehra pila saKHt malul
rah mein jaise KHak pe koi masla masla bagh ka phul
sham sawere baal bikhere baiTha baiTha rota hai
naqon walo! in logon ka aalam kaisa hota hai
apna bhi wo dost tha hum bhi pas us ke baiTh aate hain
idhar udhar ke qisse kah ke ji us ka bahlate hain
ukhDi-ukhDi baat kare hai bhul ke agla yarana
kaun ho tum kis kaam se aae? hum ne na tum ko pahchana
jaane ye kis ne choT lagai jaane ye kis ko pyar kare
tumhi kaho hum kis ko DhunDen aahen khinche nam na le
pit mein aise jaan se yaro kitne log guzarte hain
pit mein nahaq mar nahin jate pit to sare karte hain
ai matwalo naqon walo! nagri nagri jate ho
kahin jo us ki jaan ka bairi mil jae ye baat kaho
chaak-gireban ek diwana phirta hai hairan hairan
patthar se sar phoD marega diwane ko sabr kahan
tum chaho to basti chhoDe tum chaho to dasht basae
ai matawalo naqon walo warna ek din ye hoga
tum logon se aate jate puchhenge 'insha' ka pata
Nazm
Ai matawalo! naqon walo!!
Ibn e Insha