اردو हिंदी
Ai jahan dekh le! | Shaahi Shayari
ai jahan dekh le!

Nazm

Ai jahan dekh le!

Habib Jalib

;

ai jahan dekh le kab se be-ghar hain hum
ab nikal aae hain le ke apna alam

ye mahallat ye unche unche makan
in ki buniyaad mein hai hamara lahu

kal jo mehman the ghar ke malik bane
shah bhi hai adu shaiKH bhi hai adu

kab talak hum sahen ghasibon ke sitam
ai jahan dekh le kab se be-ghar hain hum

ab nikal aae hain le ke apna alam
itna sada na ban tujh ko malum hai

kaun ghere hue hai filistin ko
aaj khul ke ye nara laga ai jahan

qatilo rah-zano ye zamin chhoD do
hum ko laDna hai jab tak ki dam mein hai dam

ai jahan dekh le kab se be-ghar hain hum
ab nikal aae hain le ke apna alam