ai hijr-zada shab
aa tu hi mere sine se lag ja ki bate gham
ehsas ko tanhai ki manzil se mile rah
aawaz ki gumnam zaminon ko mile nam
aa kuchh to ghaTe gham
is saat-e-mahjur ki fariyaad ho maddham
kyun nauha-ba-lb phirti hai mahrum-e-muKHatab
ai hijr-zada shab
dekh aaj tamannaon ki be-samt hawaen
dil-e-sharminda-nazar ko
phir le ke chali hain wahi be-raKHt hawaen
usi jadu ke nagar ko
jis KHak pe utre the muradon ke sahife
sanki thi jahan sabz hawa, ku-e-wafa ki
mahke the jahan phul-sifat rang kisi ke
us KHak ka har rup mere waste zindan
kuchh ruThe hue KHwab hain kuchh TuTe hue man
kuchh barse hue abr hain kuchh tarse hue lab
ai hijr-zada shab
aa tu hi gale lag ke bata kaun yahan hai
juz KHud-sari-e-mauj-e-hawa kaun yahan hai
hamdard mera tere siwa kaun yahan hai
aa chum lun aankhen teri ruKHsar tere lab
ai hijr-zada shab
Nazm
Ai hijr-zada shab
Amjad Islam Amjad