اردو हिंदी
Ai dil pahle bhi hum tanha the | Shaahi Shayari
ai dil pahle bhi hum tanha the

Nazm

Ai dil pahle bhi hum tanha the

Saqi Faruqi

;

ai dil hum tanha aaj bhi hain
in zaKHmon se

in daghon se
ab apni baaten hoti hain

jo zaKHm ki surKH gulab hue
jo dagh ki badr-e-munir hue

is tarah se kab tak jina hai
main haar gaya is jine se

koi abr uThe kisi qulzum se
ras barse mere virane par

koi jagta ho koi kuDhta ho
mere der se wapas aane pe

koi sans bhare mere pahlu mein
aur hath dhare mere shane par

aur dabe dabe lahje mein kahe
tum ne ab tak baDe dard sahe

tum tanha tanha chalte rahe
tum tanha tanha jalte rahe

suno tanha chalna khel nahin
chalo aao mere hamrah chalo

chalo nae safar par chalte hain
chalo mujh ko bana ke gawah chalo