اردو हिंदी
Ai dil-e-be-qarar dekh | Shaahi Shayari
ai dil-e-be-qarar dekh

Nazm

Ai dil-e-be-qarar dekh

Jagan Nath Azad

;

daman-e-lala-zar mein
aalam-e-pur-bahaar dekh

kalla-e-kohsar par
jalwa-e-zar-nigar dekh

aab-e-rawan ki baat kya
KHak pe hai nikhaar dekh

ai dil-e-be-qarar dekh
dekh nashat bagh mein

jalwa-e-subh ka saman
kaif o nashat hai zamin

nur o surur aasman
aah ye manzar-e-jamil

hae ye jaan-faza saman
auj-e-falak se hai rawan

nur ka aabshaar dekh
ai dil-e-be-qarar dekh

dhaar ke kashtiyon ka rup
dull pe rawan hai zindagi

chaar taraf fazaon mein
itr-fashan hai zindagi

baad-e-dazan hai zindagi
shola-ba-jaan hai zindagi

charKH-e-taKHaiyyulat par
kahkashan hai zindagi

chehra-ba-chehra ru-ba-ru
husn ka ye nikhaar dekh

ai dil-e-be-qarar dekh
KHwah wolar ki jhil hai

KHwah faza-e-pahl-gam
ek se baDh ke ek hai

jo bhi nazar mein hai maqam
dekh ki un fazaon mein

phul sharab ke hain jam
ghas hai farsh-e-maKHmalin

zarre hain aasman-maqam
aur nahin tujhe nasib

ek bhi lamhe ka qayam
mauj-e-nashim-e-subh se

raaz ye aashkar dekh
ai dil-e-be-qarar dekh