ai dil-e-be-KHabar
jo hawa ja chuki ab nahin aaegi
jo shajar TuT jata hai phalta nahin
wapsi mausamon ka muqaddar to hai
jo saman bit jae palaTta nahin
jaane wale nahin lauTte umr bhar
ab kise DhunDhta hai sar-e-rahguzar
ai dil-e-kam-nazar ai mere be-KHabar ai mere ham-safar
wo to KHushbu tha agle nagar ja chuka
chandni tha hua sarf-e-rang-e-qamar
KHwab tha aankh khulte hi ojhal hua
peD tha rut badalte hua be-samar
ai dil-e-be-asar ai mere chaara-gar
ye hai kis ko KHabar!
kab hawa-e-safar ka ishaara mile!
kab khulen sahilon par safinon ke par
kaun jaane kahan manzil-e-mauj hai!
kis jazire pe hai shah-zadi ka ghar ai mere chaara-gar
ai dil-e-be-KHabar kam-nazar mo'tabar
tu ki muddat se hai zer-e-bar-e-safar
be-qarar-e-safar
rail ki be-hunar pTriyon ki tarah
aas ke be-samar mausamon ki tarah
be-jahat manzilon ki masafat mein hai
rasta bhule hue rahrawon ki tarah
chob-e-nar-e-safar
e'tibar-e-nazar kis guman par karen
ai dil-e-be-basar
ye to sahil pe bhi dekhti hai bhanwar
ret mein kisht karti hai aab-e-baqa
kholti hai hawaon mein bab-e-asar
tujh ko rakhti hai ye zebdar-e-safar be-qarar-e-safar
ai dil-e-be-hunar
garm sanson ki wo KHushbuen bhul ja
wo chahakti hui dhaDkanen bhul ja
bhul ja narm honTon ki shadabiyan
harf-e-iqrar ki lazzaten bhul ja
bhul ja wo hawa bhul ja wo nagar
kaun jaane kahan raushni kho gai
luT gaya hai kahan karwan-e-sahar
ab kahan gesuon ke wo sae kahan
us ki aahaT se chamke hue baam-o-dar ai dil-e-be-basar
rang-e-asudgi ke tamashe kahan
jhuTpuTa hai yahan rahguzar rahguzar
wo to KHushbu tha agle nagar ja chuka
ab kise DhunDhta hai are be-KHabar
jaane wale nahin lauTte umr bhar
ai dil-e-kam-nazar ai mere chaara-gar ai mere ham-safar
Nazm
Ai dil-e-be-KHabar
Amjad Islam Amjad