asa-e-musa
andheri raaton ki ek tajsim munjamid
jis mein haal ek nuqta-e-sukuni
na koi harkat na koi raftar
jab aasmanon se aag barsi
to barf pighli
dhuan sa nikla
asa mein harkat hui
to mahbus nag nikla
wo ek sayyal lamha
jo munjamid paDa tha
baDha
jhapaT kar
KHizan-rasida shajar ki sab KHushk Tahniyon ko nigal gaya
Nazm
Ahya
Ejaz Farooqi