mujhe wadiat hui hai
jab tak tumhaari aankhen
maqam-e-binai tak na pahunchin
safed kaghaz ki raushni ko
siyah alfaz se musalsal chhupae rakhkhun
kaha gaya hai ye qaul bhi dun
jab aankhen KHira na hongi
(yani maqam-e-binai par pahunch jaengi)
to kaghaz siyah karna main chhoD dunga
nafi-e-mauud hain ye alfaz
asal isbaat chashm-e-bina
safed kaghaz mein paDh rahi hain
ki harf-e-mauud bhi yahi hai
main sath-e-kaghaz se apne alfaz uTha raha hun
ahl-e-dil ko bula raha hun

Nazm
Ahl-e-dil ko bula raha hun
Shahram Sarmadi