اردو हिंदी
Ahl-e-dil aur bhi hain | Shaahi Shayari
ahl-e-dil aur bhi hain

Nazm

Ahl-e-dil aur bhi hain

Sahir Ludhianvi

;

kya hua gar mere yaron ki zabanen chup hain
mere shahid mere yaron ke siwa aur bhi hain

ahl-e-dil aur bhi hain ahl-e-wafa aur bhi hain
ek hum hi nahin duniya se KHafa aur bhi hain

hum pe hi KHatm nahin maslak-e-shorida-siri
chaak-dil aur bhi hain chaak-qaba aur bhi hain

sar salamat hai to kya sang-e-malamat ki kami
jaan baqi hai to paikan-e-qaza aur bhi hain

munsif-e-shahr ki wahdat pe na harf aa jae
log kahte hain ki arbab-e-jafa aur bhi hain