aur phir yun hua
din ka ugla pahar sabz zaitun ki chhanw mein kaT kar
ibn-e-adam uTha
apne ek hath mein sanp aur dusre hath mein
ek mamola liye
arsh ki samt jate hue
muD ke wadi ke logon se us ne kaha
mujh pe iman lao KHuda mar chuka hai
ye aflak o aafaq ka bar ab mere shanon pe hai
mahr o mah o kawakib sabhi mere aayat hain
aur wadi ke logon mein kuchh log dana the iman le aae
kuchh kashmakash mein rahe
aur kitne hi aise bhi the jo KHud apni sadaon mein gum
ibn-e-adam ki aawaz se dur the
aur phir yun hua
chaar aafaq se ek ghana abr uTha
aur wadi pe ek saeban ki tarah tan gaya
aur zamin jaise tapne lagi
aur wadi ke sab log ghabra gae
aisi aawaz mein jaise sakraat mein sans ki fasl ko
kaTta ho koi
ibn-e-adam ko sab ne pukara ki
ye maut ke kale dhakne ki manind aankhon pe rakkha hua
abr kaisa hai?
tannur par ek tanbe ki thaali ki manind tapti zamin kis liye!
dekh hum log aise larazte hain sinon mein iman
jaise larazte hon
ye kaisa aaseb hai!!
in ki aawaz lauT aai
phir kanpte tilmilate dhaDakte dilon se ye sab ne suna
abr se zahr barsega
tapti zamin aur dahkegi
wadi ka har ghuncha mar jaega
KHak ke rahm mein sans leta hua aafrinash ka har bij
mar jaega
ye sadaen ufuq-ta-ufuq gunj uThin
aur sab ne sunin
un mein dana bhi the
jin ki danaiyan tan-barhana kunwari kanizon ki manind
lab-basta thin
aur wo log bhi in mein maujud the
kashmakash jin ke dil ki gunahgar jismon ke
masum bachchon ki manind hairan thi
aur kitne hi wo bhi the
masumiyat jin ki faulad-paikar ghulamon ki manind
maqtul thi
aur phir yun hua
sab ki nazren uThin jis taraf
apne ek hath mein arz-e-mahkum aur dusre hath mein
jauhari bam liye
ibn-e-adam khaDa tha kisi aatishin peD ki chhanw mein
niche wadi mein ek shor tha
wo hamara KHuda hum ko lauTao
taskin ki koi surat to ho
koi chhat koi saya koi saeban
kuchh to ho jis ke zulmat mein chhup ke hum
zindagi kaT len
aur ye abr aankhon se ojhal rahe
wo hamara KHuda hum ko lauTao
wadi ka ye shor baDhta raha
shor karti hui bhiD mein wo bhi the
jin ke iman mazbut the
aur phir yun hua
ibn-e-adam ne dekha ki
wadi mein sadiyon ka buDha KHuda phir se maujud tha
Nazm
Ahad-nama-e-imroz
Aziz Qaisi