wo din bhi aae hain us ki siyah zulfon mein
kapas khilne lagi hai, jhalakti chandi ke
kashida tar chamakne lage hain baalon mein
wo din bhi aae hain surKH o sapid galon mein
dhanak ka khelna mamnu,a hai, labon pe faqat
gulon ki tazgi ek saya-e-gurezan hai
wo bhi din aae hain us ke sabih chehre par
kahin kahin koi silwaT ubhar si aai hai
zara si muzmahil thoDi thaki thaki si nazar
talash karti hai umr-e-gurez pa ke nuqush
use bhi lagta to hoga ki main wahi hun, magar
KHizan-gazida thaka sa udas ranjida
use bhi lagta to hoga ki hum wahi hain magar
dil o dimagh ki baham supurdagi ke din
na jaane umr ke kis marhale pe chhuT gae
main chahta hun kabhi baat kar ke dekhun to
kahun ki jism to ek aarizi haqiqat hai
kahun darun-e-dil-o-jaan jo ek aalam hai
wahan to waqt ka ehsas tak nahin hota
kahun ki umr se shikwa, gila jawani hai
labon pe harf-e-shikayat dilon mein talKHi si
alil jazbe hain un se hamara kya rishta?
kahun ki aaj bhi subh-e-shab-e-visal ke gul
hamari ruh mein khilte hain, aao sath chalen
pakaD ke hath ki agla safar tawil nahin!
Nazm
Agla safar tawil nahin
Satyapal Anand