agar ye zindagi tanha nahin hoti
to is ko KHub-surat phul mein tabdil karne ke liye
katra na ja sakta
kabhi is se koi kaghaz ki kashti joD kar
gahre samundar ki taraf bheji na ja sakti
safar ke darmiyan aai ek an-jaani sarae mein
zara se dam ke badle
ise haara na ja sakta
agar ye zindagi tanha nahin hoti
to is ko muKHtalif TukDon ke andar banT kar
hum apni marzi ke na un mein rang bhar sakte
baDi miqdar mein is ko
na hum email kar sakte
agar ye zindagi tanha nahin hoti
to is ke KHub-surat rang
aawara si ek barish mein dho Dale na ja sakte
agar ye zindagi tanha nahin hoti
to is ke faltu TukDe
munDeron par parindon ke liye phenke na ja sakte

Nazm
Agar ye zindagi tanha nahin hoti
Syed Kashif Raza