agar yahi hai shaeri to shaeri haram hai!
KHirad bhi zer-e-dam hai junun bhi zer-e-dam hai
hawas ka nam ishq hai talab KHudi ka nam hai
nazar udas dil malul ruh tishna-kaam hai
magar labon pe naghma-e-hayat shad-kaam hai
rahin-e-ariz-e-hasin asir-e-zulf-e-mushkbu!
nigah mein liye hue ghuTi ghuTi si justuju
bhaTak rahe hain wadi-e-KHizan mein bahr-e-rang-o-bu
sahar ke git ga rahe hain aur waqt-e-sham hai
nazar mein mah-o-kahkashan hain azmat-e-bashar nahin
qadam baDha rahe hain aur rah mo'tabar nahin
fareb-KHurda-e-chaman hain dam par nazar nahin
KHayal-e-nazm-e-mai-kada nahin hai fikr-e-jam hai
mila wo iKHtiyar jis pe bebasi hai KHanda-zan
wo raushni mili ki jis pe tirgi hai KHanda-zan
wo zindagi mili ki jis pe maut bhi hai KHanda-zan
ba-zid hain phir bhi kaj-nazar hayat shad-kaam hai
numaish-o-numud-o-nang-o-nam par nigah hai!
jamal-e-yar-o-juebar-o-jam par nigah hai
ba-nam-e-bandagi butan-e-baam par nigah hai
shabab-o-sher-o-shahid-o-sharab se hi kaam hai
agar yahi hai shaeri to shaeri haram hai
Nazm
Agar yahi hai shaeri to shaeri haram hai!
Mohsin Bhopali