wo zindagi ko Daraate hain
maut ko rishwat dete hain
aur us ki aankh par paTTi bandh dete hain
wo hamein tohfe mein KHanjar bhejte hain
aur ummid rakhte hain
hum KHud ko halak kar lenge
wo chiDiya-ghar mein
sher ke pinjre ki jali ko kamzor rakhte hain
aur jab hum wahan sair karne jate hain
us din wo sher ka raatib band kar dete hain
jab chand TuTa phuTa nahin hota
wo hamein ek jazire ki sair ko bulate hain
jahan na mare jaane ki zamanat ka kaghaz
wo kashti mein idhar udhar kar dete hain
agar unhen malum ho jae
wo achchhe qatil nahin
to wo kanpne lagen
aur un ki naukariyan chhin jaen
wo hamare mare jaane ka KHwab dekhte hain
aur tabir ki kitabon ko jala dete hain
wo hamare nam ki qabr khodte hain
aur us mein luT ka mal chhupa dete hain
agar unhen malum bhi ho jae
ki hamein kaise mara ja sakta hai
phir bhi wo hamein nahin mar sakte
Nazm
Agar unhen malum ho jae
Afzal Ahmad Syed