agar qarib se dekho to jaan logi tum
jahan hai sanp ki surat wajud se lipTa
na karwan na manazil na rahguzar na safar
hayat jaise khaDa ho koi shajar tanha
dilon mein pyas taDapti hai raat din apne
bhari hui hai alam-nak yas aankhon mein
siyah bhuton ki manind jag uThte hain
ye be-sukun se manazir udas aankhon mein
tumhein hai KHauf ki jwala bhaDak uThe na kahin
main sochta hun jala dun kisi tarah KHud ko
tumhein hai fikr ki jine ka aasra ho koi
main chahta hun miTa dun kisi tarah KHud ko
raqiq aag ne sinon ko rakh kar Dala
wajud kanp rahe hain shikast khae hue
koi pahaD koi ban talash karte hain
dimagh bar-e-masaib ka gham uThae hue
pighal rahe hain usulon ke aahani paikar
hisar karb ki sulgi hui fasilon par
kuchh is tarah hain shab-o-roz gard-aluda
Tange hun jaise purane libas kilon par
agar qarib se dekho to dil ki basti mein
na hausle na umangen na garmiyan baqi
gunahgar fazaon ki qatl gahon mein
haqiqaton ka pata hai na dastan baqi
Nazm
Agar qarib se dekho
Chandrabhan Khayal