munafiqon ke darmiyan
ghira hua
main ek sach hun
abr mein chamakte chand ki tarah
mere ru-ba-ru tamam
wahshiyon ke raqs un ki barahna adaen
zahr mein nahae KHanjaron
ki kahkashan sajae
mujh ko mere apne ahd se hi
kaT dene ki lagan mein
is qadar qarib hain
agar main hans paDun
to sara raqs
KHanjaron mein Dub jae

Nazm
Agar main hans paDun
Sultan Subhani