agar main chiKHun
main apne dil ki tamam gahraiyon se chiKHun
to kaenati nizam mein kya KHalal paDega
yahi ki
andhe kuen se ek baz-gasht hogi
kahegi kyun tum ko kya hua hai?
tumhi baDe aae ho kahin ke
ye aasman o zamin
ye suraj ye chand tare
tamam man bap sare ajdad
shahr ke sab sharif-zade
inhen bhi dekho
ye sab musibat-zada, matanat se
burd-bari mein sah rahe hain
tumhi mein bardasht ki kami hai
agar main chiKHun to
meri aawaz bhi malamat karegi mujh ko
wo sab kahenge
ki kaun ye shor kar raha hai
hamari ninden uchaT kar din
agar main chiKHun
to sara amn-o-sukun
nazm aur nasq
mujh ko KHilaf-e-qanun dushman-e-KHalq kah kar
salib dega
magar ye chiKHon-bhara hua dil
kisi bhi lamhe
mujhe kahin KHaufnak rahon pe Dal dega
salah dega
ki zor se ciKHo
ki jism ke sath
ruh bhi sard ho gai phir
to kya karoge
Nazm
Agar main chiKHun
Farhat Ehsas