likha hua hai
kisi ka likkha nahin rahega
jo harf dimak se bach rahenge
unhen hawaon ne chaTna hai
koi zaban ko qalam bhi kar le to kya karega
abhi to hum ne qalam ke honTon ka kaTna hai
na koi nuqta na harf koi
na lafz hoga na satr hogi
sutur kya hain?
is intishaar-e-suKHan mein bainassutur kuchh bhi nahin rahega
tumhaara ijz-e-bayan, bayan ka ghurur kuchh bhi nahin rahega
tum is ghaDi jo suna rahe ho
ye nazm baqi nahin rahegi
ye nazm kya hai koi takallum ki bazm baqi nahin rahegi
ye lafz kanTon ki fasl hain aur
kisi ko kanTe kashid karne se kya milega
tumhein aziyyat rah-e-suKHan mein mazid karne se kya milega
agar kahin par likha hua hai
to likh raha hun
ki be-sabaati ki KHu baqa ki sarisht mein hai
kisi ka likkha nahin rahega to aap hadd-e-nawisht mein hai
Nazm
Agar kahin par likha hua hai
Syed Mubarak Shah