اردو हिंदी
Agar aap | Shaahi Shayari
agar aap

Nazm

Agar aap

Zeeshan Sahil

;

agar aap ek daraKHt hain
to zahir hai

sab se pahle
aap ko banna chahiye

ek saya-dar jagah
aur agar aap ke patte

kisi KHizan mein gir jaen
to aap ki koshish honi chahiye

ki bahaar ka pahla phul
ya barish ke baad khilne wali pahli konpal

aap hi ke hisse mein aae
agar aap ek daraKHt hon

aur koi aap ko kaT Dale
to afsos mat kijiyega

ho sakta hai aap ka talluq
daraKHton ke us KHandan se ho

jis mein hazaron baras pahle
kisi nabi ne panah li thi

apne kaT ke le jae jaane par
afsos mat kijiyega

ho sakta hai
aap se ek aisi kursi banai jae

jis par baiTh ke
koi laDki apne mahbub ko

hamesha yaad karti rahe
ya phir aap se bane ek aisi mez

jis ke samne koi udas shaer
sitaron bhari nazmen likhta rahe

ya ho sakta hai
aap se ek aisi siDhi banai jae jise diwar ke sath laga ke

hum aasman tak ja saken
ya phir aap se

koi aisa pul banaya jae
jis par khaDi ho ke

log ek dusre se
hamesha milne ke liye

sikke phenka karen
agar aap daraKHt ban jaen

to kisi sarkari imarat ke ahate
ya kasi chhoTe se raste ke darmiyan

mat aaiyega
warna hamein aap ko haTane ka bahut afsos hoga

aur aap siwae rakh hone ke
aur kuchh nahin kar sakenge