ab ke baras chaumukh mein
ek azim firaq ki barf paDi hai
kohsaron ne
kafuri qabren oDhi hain
kisi qadam ka naqsh
koi dhansta hua panw
koi phisalta KHanda
koi kilkari
kuchh bhi nahin
kuchh bhi to nahin
sare mein
ek marmar aisi
behis yaKH ki shok
dahak rahi dharti ke sine upar
marham aisi
manfi das ki mari paDi KHamoshi
ek shahid chinar ke pahlu se bahar ko nikla
ek KHush-KHaslat
nanha munna hat
jo aate jate
nauhe paDhte jhonkon mein
dur-daraaz ke hanste baste shahron ki
aankhon ki jaanib
jo kabhi us ko dekh nahin paengi
ek wida-e-daim ke andaz mein larzan hai
Nazm
After shocks
Anwar Fitrat