qatil-o-maqtul barabar
zalim-o-mazlum barabar
qalam bhi banduq barabar
matub-o-mahbub barabar
apni goya sathi ki
har ek KHatun barabar
nai danishwari jo paDhi
musa-o-qarun barabar
zulm to sab par sanjha tha
bani-israil-o-firaun barabar
man chahe roti rahe
shahid bachche aur malun barabar
baloch jo ghar se ghaeb hain
sab par magar qanun barabar
zulm ki andhi fikr mein
yazid-o-husain barabar
nai nai paDhi sahafat
mashal-o-hujum barabar
andhera bhi ujale sa hai
zulmat-o-nur barabar
basirat par parda paDa
sach aur har ek jhuT barabar
ulTi ganga bahti hai
madari-o-aflatun barabar
jab tak apna na bahe
aab-o-KHun barabar
ek un ka bhi mar girao
phir kahna marne wala aur marhum barabar
Nazm
Adl ka fuqdan
Zehra Alvi