ek din hazrat-e-faruq ne mimbar pe kaha
kya tumhein hukm jo kuchh dun to karoge manzur
ek ne uTh ke kaha ye ki na manenge kabhi
ki tere adl mein hum ko nazar aata hai futur
chadaren mal-e-ghanimat mein jo ab ke aain
sehan-e-masjid mein wo taqsim huin sab ke huzur
un mein har ek ke hisse mein faqat ek aai
tha tumhaara bhi wahi haq ki yahi hai dastur
ab jo ye jism pe tere nazar aata hai libas
ye usi luT ki chadar se bana hoga zarur
muKHtasar thi wo rida aur tera qad hai daraaz
ek chadar mein tera jism na hoga mastur
apne hisse se ziyaada jo liya tu ne to ab
tu KHilafat ke na qabil hai na hum hain mamur
garche wo had-e-manasib se baDha jata tha
sab ke sab mohr-ba-lab the che inas o che zakur
rok de koi kisi ko ye na rakhta tha majal
nashsha-e-adl-o-masawat se sab the maKHmur
apne farzand se faruq-e-moazzam ne kaha
tum ko hai haalat-e-asli ki haqiqat pe ubur
tumhin de sakte ho is ka meri jaanib se jawab
ki na pakDe mujhe mahshar mein mera rabb-e-ghafur
bole ye ibn-e-umar sab se muKHatib ho kar
is mein kuchh walid-e-majid ka nahin jurm o qusur
ek chadar mein jo pura na hua un ka libas
kar saki is ko gawara na meri tab-e-ghayur
apne hisse ki bhi main ne unhen chadar de di
waqia ki ye haqiqat hai ki jo thi mastur
nukta-chin ne ye kaha uTh ke ki han ai faruq
hukm de hum ko ki ab hum use manenge zarur
Nazm
Adl-e-faruqi ka ek namuna
Shibli Nomani