naKHl-e-numu ki shaKH pe jis dam
nam ki aanch ki sarshaari mein
pankh apne phaila kar ghuncha
puri tab se khil uThta hai
rang aur KHushbu ki bani mein
zat-o-hayat ke kitne nukte
pure wajud se kah deta hai
ye nahin jaanta kaise kaise
rut ke bhed hawa ke tewar
phir bhi an-kahe rah jate hain
dekhte dekhte rang aur KHushbu
aap hi maddham ho jate hain
puri baat kahi nahin jati
baat adhuri rah jati hai
raste KHatm kabhi nahin hote
raston ke aage raste hain
aarzuon andeshon jaise
raston mein raste uljhe hain
in raston ke rahi sare
thak thak rah mein rah jate hain
raste KHatm kabhi nahin hote
baaton ke pichhe baaten hain
chehre saf nazar nahin aate
chehre chilman ban jate hain
chehron ke pichhe chehre hain
chehre maddham ho jate hain
manzar mubham ho jate hain
did nasib kise hoti hai
dil mein duri rah jati hai
puri baat kahe kya koi
puri baat kahi hai kis ne
baat adhuri rah jati hai
Nazm
Adhuri
Zia Jalandhari