umr ka suraj siwa neze pe aaya
garm shiryanon mein bahte KHun ka dariya bhanwar hone laga
halqa-e-mauj-e-hawa kafi nahin
wahshat-e-abr-e-badan ke waste
aaghosh koi aur ho
warna yun murda saDak ke KHwab-awar se kinare
be-KHayali mein kisi thuke hue bachche ki uljhi sans mein lipTi hui ye zindagi!
zehn par bar-e-giran band qaba ke lams ka ehsas bhi
aur shahr-e-habs mein rasta koi khulta nahin
shaKH tanha se biye ka ghonsla girta nahin
wahshat-e-abr-e-badan ki KHushk-sali
ek chullu lams ke pani ki muhtaj ko roti hai
magar!
dekhna aawara kirnen dekhna
jin ko raston mein bikharti
titliyon si laDkiyon ke zer jamon
aur shirin jism ke halke masamon tak safar ka izn hai
umr ka suraj siwa neze pe aaya
ab kitabon, taKHtiyon ki be-maza chhanw tale ghuTta hai dam
ab badan chhupta nahin aKHbar ke malbus mein
ab faqat uryaniyan
lekin
yaqinan
mar Dalegi kahin
in bhare shahron ki tanhai hamein
Nazm
Adhuri nasl ka pura sach
Saeed Ahmad