ye kaun jaane
ki kal ka suraj
nahif jismon sulagti ruhon pe
kaise kaise azab lae
gai ruton se jawab mange
nazar nazar mein sarab lae
ye kaun jaane!
ye kaun mane
ki lauh-e-ehsas par gae mausamon ke jitne bhi
naqsh kanda hain
sab ke sab
aane wali saat ko aaina hain
jo aankh paDh le
to marsiya hain
ye kaun dekhe ye, kaun samjhe
ki subh-e-kazib ki bargahon mein sar-ba-sajda amin chehre
kaDi masafat pe panw dharne se peshtar hi
giran naqaben ulaT rahe hain
rah-e-riya ko palaT rahe hain
ye kaun samjhe ye kaun jaane!!
Nazm
Adhure mausamon ka na-tamam qissa
Hasan Abbas Raza