bahut se bhed aise hain jinhen meri nazar ka dur tak phaila hua daman
abhi tak chhu nahin paya
bas ek bikhrao hai har samt KHal-o-KHat anokhe be-jahat be-shakl
jaise sardiyon ki raat barish aur kamre mein sisakte qumqume
sawad-e-zehan par ek jugnuon ki lahlahati fasl ka lahrao
samaat ki main kis manzil pe hun garajte baadalon ke lab muqaffal
dilon ki dhaDkanon ka sard aahang musalsal be-sada bekal
KHamoshi nind mein hai shor ko aawaz deti hai
main kis ki shakl mein hun kaun hun mujh se mera kya talluq hai
mere ehsas mein apnaiyat ko ghairiyat se kya shikayat hai
kyun shikayat hai
bahut se bhed aise hain
jinhen meri nazar ka dur tak phaila hua daman
abhi tak chhu nahin paya
Nazm
Adhura gyan
Mohammad Azeem