wo jagmagata hua shahr meri aankhon mein
tamam raat larazta hai
aansuon ki tarah
kabhi sisakta hai TuTe hue manaron mein
kabhi Tapakta hai aawaza-e-bahaar ki surat
hisab qatra-e-ashk
aaina sutunon ka
mere bujhe hue chehre ke samne aa kar
pukarta hai
chale aao jaan ahd guzishta
wo saeban bahut intizar karta hai
ujaD gai hai takallum ki bastiyan
lekin
nishaniyan kai baqi hain
bujhti hui be-zaban fazaon mein
huruf o saut o sada ke ghubar ki surat
kushada aanganon ka surmai andhera larazta hai
kuchh parindon ki
aalam panah aankhon mein
wo jagmagata hua shahr
ek qila-e-ashuftagan bhi hai
jis se
har ek KHwab adam
sar paTakta rahta hai
Nazm
Adam se pare
Ain Tabish