main mohabbat karta aur zinda rahna bhul chuki hun
aur khilaunon ke nae karobar ka lutf uTha rahi hun
khilaune mujhe bech rahe hain
maut ke hathon
jo zaruraton aur zaruraton ki takmil ke bahrup badalti hai
khilaune mujhe chabi dete hain
aur subh ho jati hai
sham hote hote chabi KHatm hoti hai
aur zehn mein bhaDakte hue shoalon
ya dil mein chubhti hui ThanDak ki tarah yaaden
raat ban jati hain
jaise kisi bhuke naukar ko kaam karwane ki majburi mein
mazid bhuka rakkha jata hai
wo meri aankhon mein jhanke bana so jata hai
wajud tak pahunchne wale kabhi na kiye jaane wale safar ke liye
wo aasman tak jaana chahta hai
aur main ghar ki diwaren buland karna chahti hun
khilaune apna wajud mere dil se ugate hain
aur mujhe yaqin hai
wo wajud rakhte hain
aur mein in sare majbur dinon ki tarah
adam ban chuki hun
Nazm
Adam katha
Tanveer Anjum