mera wajud zindagi ka bhed hai dekh
ye ek honT ke shoale pe barg-e-gul se KHarash
ye ek jism ke kundan mein gudgudi se gudaz
ye ek ruh bhinche bazuon mein khelti lahr!
zara qarib to aa dekh tere samne hain
ye surKH ras bhare lab jin ki ek jhalak ke liye
kabhi qabilon ke dil joshanon mein dhaDke the
jo tu kahe to yahi honT surKH ras bhare honT
tere lahu mein shagufe khila bhi sakte hain!
qarib aa ye badan meri zindagi ka tilism
teri nigah ki chingariyon ka pyasa hai
jo tu kahe to yahi narm lahariya aanchal
yahi naqab meri chuTkiyon mein aTki hui
yahi rida meri angDaiyon se maski hui
ye aabshaar Dhalanon se gir bhi sakti hai
bas ek shart ye gauhar sutur-e-dastawez
zara koi ye wasiqa raqam kare to sahi
ikaiyon ke udhar jitne daere honge!
idhar bhi utne hi aks un barahna shoalon ke
Nazm
Actress ka contract
Majeed Amjad