tumhaari ammi ne apni izzat ko martabanon mein band kar ke
makan ki chhat se laTakte chhinke mein rakh diya tha
tumhaari ammi ne bar-ha tum se ye kaha tha
achaar kachcha hai' tel ki bu miTi nahin hai
abhi na ye martaban kholo
hawa agar bartanon mein daKHil hui to ulli
tamam phankon ka nas kar degi
tum magar soch mein paDi ho
na jaane ammi ko kya hua hai
achaar ki phank hi to hai na
na koi hira, na koi moti, na koi sone ki chiz mangi
na koi kapDa na koi latta na koi saDi
tum apni masum aur pyari si ankhDiyon mein
hazar shikwe liye yunhi sochti rahogi
magar jo ek Dar tumhaari ammi ki aankh mein aa ke bas gaya hai
use kahan tum samajh sakogi
abhi to tum bachpane ki sarhad phalangne hi ki fikr mein ho
abhi to tum meinDhiyan banati ho, choTiyan kas ke bandhti ho
kabhi kabhi tum saDak pe ja kar jhagaDte bachchon ko DanTti ho
to tum ko chunni ka hosh hota hai
aur na aankhon mein Dar kisi ka
agar kabhi tum zaban ka zaiqa badalne ka soch hi lo
agar kabhi tum achaar ka martaban niche utar hi lo
nazar bacha kar achaar bahar nikal hi lo
to lamha bhar ke liye Thahar kar ye soch lena
tumhaari ammi ne apni izzat ko martabanon mein band kar ke
makan ki chhat se laTakte chhinke mein rakh diya tha
Nazm
Achaar ka martaban
Fayyaz tahseen