qabl azin ki na-rasa idrak se
tah-ba-tah hone na hone ke
mani ko to suljhane lage
us haqiqat ko samajh
dafn tha sadiyon se jo zer-e-zamin
kaise us indhan ki garmi ke tufail
beach paude ban ke lahrane lage
qabl azin ki tera fikr-e-mushigaf
maghz-e-insan aur aaza-e-badan ke darmiyan
un reshon ke har har lachchhe ke gird
jin mein dil ki barq-rau maujen rawan hain
jin mein ehsasat ki mahtabiyan hain
gardishon par gardishen khane lage
us haqiqat ko samajh
kyun koi be-barq zarra
ek anokhi dhat ke
nuqta markaz ke barudi anasir se
man kuchh aise Takrane lage
dekhte hi dekhte
nuqta markaz ka jadu bhak se uD jaane lage
har tasadum ke amal ka
ek sa radd-e-amal
ek se radd-e-amal ka silsila
be-karan taKHayyul ki uDti hadon se mawara
la-intiha
main ne mana
hum bhi sirf ek musht-e-KHak hain
pal agar chale banen to hum KHas-o-KHashak hain
lekin aata hai KHayal
inshifaq ek zarra-e-na-chiz ka
jab badal sakta hai ta-hadd-e-nazar
qumqumon ki jagmagahaT ke tajalli-zar mein
phir tajjub kyun
agar dekhun mein jo har ki tawanai ka
sail-e-be-karan
KHira-kunan
zarron ke har aawara-gard ambar mein
tere mere jism-e-pur-asrar mein
Nazm
Tere mere jism-e-pur-asrar mein
Takht Singh