اردو हिंदी
Abul-ala-marri | Shaahi Shayari
abul-ala-marri

Nazm

Abul-ala-marri

Allama Iqbal

;

kahte hain kabhi gosht na khata tha marri
phal-phul pe karta tha hamesha guzar-auqat

ek dost ne bhuna hua titar use bheja
shayad ki wo shatir isi tarkib se ho mat

ye KHwan-e-tar-o-taza marri ne jo dekha
kahne laga wo sahib-e-ghufran-o-luzumat

ai murghak-e-bechaara zara ye to bata tu
tera wo gunah kya tha ye hai jis ki mukafat?

afsos-sad-afsos ki shahin na bana tu
dekhe na teri aankh ne fitrat ke ishaaraat!

taqdir ke qazi ka ye fatwa hai azal se
hai jurm-e-zaifi ki saza marg-e-mufajat!