abstract art ki dekhi thi numaish main ne
ki thi az-rah-e-murawwat bhi sataish main ne
aaj tak donon gunahon ki saza pata hun
log kahte hain ki kya dekha to sharmata hun
sirf kah sakta hun itna hi wo taswiren thin
yar ki zulf ko suljhane ki tadbiren thin
ek taswir ko dekha jo kamal-e-fan thi
bhains ke jism par ek unT ki si gardan thi
Tang khinchi thi ki miswak jise kahte hain
nak wo nak KHatarnak jise kahte hain
naqsh-e-mahbub musawwir ne saja rakkha tha
mujh se puchho to tipai pe ghaDa rakkha tha
boli taswir jo main ne use ulTa palTa
main wo jama hun ki jis ka nahin sidha ulTa
us ko naqqad to ek chashma-e-haiwan samjha
main use hazrat-e-majnun ka gareban samjha
ek taswir ko dekha ki ye kya rakkha hai
waraq-e-saf pe rangon ko gira rakkha hai
aaDi-tirchhi si lakiren thin wahan jalwa-figan
jaise TuTe hue aaine pe suraj ki kiran
tha kiub-izm main kaghaz pe jo ek rashk-e-qamar
mujh ko inTen nazar aati thin ise husn-e-bashar
bola naqqad nazar aate yahi kuchh hum tum!
KHuld mein hazrat-e-adam jo na khate gandum
abstract art ke malbe se ye daulat nikli
jis ko samjha tha anannas wo aurat nikli
abstract art ki is chiz pe dekhi hai asas
tan ki uryani se behtar nahin duniya mein libas
is numaish mein jo atfal chale aate the
Dar ke maon ke kalejon se lipaT jate the
Nazm
Abstract art
Syed Mohammad Jafri