suno kasrat-e-KHak mein basne walo
suno tausan-e-barq-raftar par kaThiyan kasne walo
ye phir kaun se marke ka irada
tumhaari nason mein ye kis KHwab-e-fateh ka phir bab-e-wahshat khula hai
fasilon pe ek parcham-e-KHun-chakan gaD dene ki niyyat
kai lakh maftuh jismon ko phir haalat-e-sina-kubi mein rote hue dekhne ki tamanna
ye kis aab-e-diwangi se badan ka subu bhar rahe ho
suno tum baDi bad-numa raat ki dhund mein faisla kar rahe ho
udhar sainkaDon kos par ek pahaDi hai jis par koi shai nahin hai
wahan har taraf se tumhein aag ke ghol ghere mein lene ki KHatir khaDe hain
abhi waqt hai luT jao
suno ujlat-e-fikr mein koi bhi kaam anjam pata nahin
phir kisi saat-e-shab-girafta mein koi sitara bulata nahin
Nazm
Abhi waqt hai lauT jao
Rafiq Sandelvi