abhi to main jawan hun
jawan ho to zindagi ki nabz gudguda to do
jawan ho to waqt ki siyahiyan miTa to do
ye aag lag rahi hai kyun use zara bujha to do
abhi to main jawan hun
jawan ho to aandhiyon se Dar rahe ho kis liye
jawan ho to be-kasi se mar rahe ho kis liye
urus-e-nau ki tarah tum sanwar rahe ho kis liye
abhi to main jawan hun
jawan ho to shisha-o-sharab zindagi nahin
jawan ho to zindagi mein sirf ek hansi nahin
falak pe badliyan bhi hain falak pe chandni nahin
abhi to main jawan hun
jawan ho to ho gae ho zindagi pe bar kyun
jawan ho to dar hi se palaT gai bahaar kyun
dimagh hasraton ka hai bana hua mazar kyun
abhi to main jawan hun
jawan ho to zindagi se kaam le ke baDh chalo
jawan ho to hurriyat ka nam le ke baDh chalo
dayar-e-inqalab ka payam le ke baDh chalo
Nazm
Abhi to main jawan hun
Akhtar Payami