abhi mujh se kisi ko mohabbat nahin hui
so dil ke bagh mein phul bhi nahin khile
mujhe har aurat ke sine par pistan
aur ranon ke bich qaus nazar aati hai
abhi mohabbat shurua nahin hui
main har ham-bistari ke baad bezar ho jata hun
aur phir se us kaam ke liye tayar ho jata hun
main pistanon aur ranon mein
mohabbat talash karne ke kar-e-be-sud mein masruf hun
mohabbat ke mausam tak
ishrat ke raste jaya ja sakta
to main kab ka pahunch gaya hota
nazar karta hun to lagta hai
zindagi se kuchh aur bhi dur nikal aaya hun
mujhe maut se Dar lagne laga hai
kyunki abhi mujh se kisi ko mohabbat nahin hui
qatl-e-am jari hai
agle paDaw tak
kar-e-mohabbat mauquf kar diya gaya hai
qismat ko kaghaz ke TukDon
aur barud se munsalik kar diya gaya hai
aabaadi ka masala darpesh hai
mohabbat ko kisi farigh waqt par uTha diya gaya hai
bahaar aane tak
ye mausam to tai karna paDega
Nazm
Abhi mujhse kisi ko mohabbat nahin hui
Ziyaul Hasan