abhi tak mausam-e-gul lauT kar aaya nahin
kuchh der baqi hai
abhi is dard ki chhanw mein sanson ko rawan rakhne ka hila
DhunDhna hai
panw mein miTTi ke jute hath mein kashkol-e-jaan
sar par kulah-e-gham
qaba-e-gard mein lipTe badan diwar-e-girya se
laga kar baiThna hai aur
is mausam ka rasta dekhna hai jis ki KHatir
hum ne apni KHak ke zarron se
apne ghar banae the
abhi kuchh der baqi hai
abhi galiyon makanon ki chhaton par DewDhiyon mein KHamushi
KHanjar-ba-kaf pahre pe faez hai
yahan is qarya-e-ibrat mein ek qasra-e-buland-o-pur-hashm hai
jis ke farsh-e-nilmin par ek
amboh ghulaman saf-ba-saf KHali suron ko apne
sine par jhukae
hath bandhe
apne aaqa se wafadari ka dam bharta hai
hajat-mand masail ki tarah be-wazan
lahje mein suKHan karta hai jita hai na marta hai
zara dekho
zara is qarya-e-ibrat ke qasr-e-pur-hashm se us taraf dekho
hawa mahbus hai barg-o-samar se KHali peDon ki
barahna Tahniyon ke sath girhen Dal kar bandhi
gai hai aur
zamistan ki sunahri dhup TukDe TukDe
kar ke shahr ki unchi chhaton par chil kawwon ke liye Dali gai hai
aatish-e-gul se charagh-e-sham tak jo kuchh dil
ushshaq ko wirse mein milta hai
asiran-e-furaat-o-sham ke manind
zanjir-o-salasil mein piro kar sahab-e-qasr-e-hasaham ke samne laya gaya hai
pahra-waron ne dariche
khiDkiyan aur bhaari darwaze muqaffal kar diye hain
aur mausam un darichon
khiDkiyon aur bhaari darwazon se bahar sakit-o-jamid khaDa hai
bazyabi ki ijazat chahta hai
matami rangon mein Duba dard ka mausam huzur-e-shah se
apne tan-e-nazuk pe barg-e-gul sajaane ki himayat chahta hai
beDiyan pahne hue lab-basta-o-sakin hawa ke panw mein
KHushbu ki pael bandhne aur phir use aazad karne
ki saadat chahta hai
lekin
ai kar-e-junun
kar-e-numu aaghaz hone mein abhi kuchh der baqi hai
Nazm
Abhi mausam nahin aaya
Ayub Khawar