niyaz-mandon ki bhiD hai ek
qatar-andar-qatar sare khaDe hue hain
main fasle par hun sochta hun
ki dast-e-KHali ke is safar mein
kamana kya aur ganwana kya hai
main is maqam-e-ajib yani
'kamana kya aur ganwana kya hai'
pa jab pahunchta hun dekhta kya hun
main usi daere ke upar khaDa hua hun
jahan main kal tha
jo farq aaya to sirf itna
tab us taraf tha
ab is taraf hun
abhi main ye soch hi raha tha
'to zindagi kya safar hai bas ek taraf taraf ka'
ki aa gaya moD
ishaara tha mere bartaraf ka
Nazm
Abhi main ye soch hi raha tha
Shahram Sarmadi