abhi kuchh din lagenge KHwab ko tabir hone mein
kisi ke dil mein apne nam ki shama jalane mein
kisi ke shahr ko daryaft karne mein
kisi anmol saat mein kisi naraaz sathi ko zara sa pas lane mein
abhi kuchh din lagenge
dard ka parcham banane mein
purane zaKHm pe marham lagane mein
mohabbat ki kawita ko hawa ke ruKH pe lane mein
purani nafraton ko bhul jaane mein
abhi kuchh din lagenge
raat ki diwar mein ek dar banane mein
muqaddar mein lagi ek ganTh ko aazad karne mein
nae kuchh marhale tasKHir karne mein
mere 'ghaalib', mere 'tagore' ko apna banane mein
abhi kuchh din lagenge
dasht mein phulon ka gul-dasta sajaane mein
abhi kuchh din lagenge
magar ye din ziyaada to nahin honge
bas ek mausam ki duri par
kahin hum tum milenge
bas ek saat ki nazdiki mein
baham mashware honge
bas ek guzre hue kal se pare
hum pas baiThenge
bahut sa daras sah lenge
bahut si baat kar lenge!
Nazm
Abhi kuchh din lagenge
Asghar Nadeem Sayed