abhi kuchh din lagenge
dil aise shahr ke pamal ho jaane ka manzar bhulne mein
abhi kuchh din lagenge
jahan-e-rang ke sare KHas-o-KHashak sab sarw-o-sanobar bhulne mein abhi kuchh din lagenge
thake haare hue KHwabon ke sahil par kahin ummid ka chhoTa sa ek ghar
bante bante rah gaya hai
wo ek ghar bhulne mein abhi kuchh din lagenge
magar ab din bhi kitne rah gae hain
bas ek din dil ki lauh-e-muntazir par
aachanak
raat utregi
meri be-nur aankhon ke KHazane mein chhupe har KHwab ki takmil kar degi
mujhe bhi KHwab mein tabdil kar degi
ek aisa KHwab jas ka dekhna mumkin nahin tha
ek aisa KHwab jis ke daman-e-sad-chaak mein koi mubarak koi raushan din nahin tha
abhi kuchh din lagenge
Nazm
Abhi kuchh din lagenge
Iftikhar Arif