اردو हिंदी
Abhi hum KHub-surat hain | Shaahi Shayari
abhi hum KHub-surat hain

Nazm

Abhi hum KHub-surat hain

Ahmad Faraz

;

abhi hum KHub-surat hain
hamare jism auraq-e-KHizani ho gae hain

aur rida-e-zaKHm se aarasta hain
phir bhi dekho to

hamari KHush-numai par koi harf
aur kashida-qamti mein KHam nahin aaya

hamare honT zahrili ruton se kasni hain
aur chehre ratjagon ki shoalagi se

aabnusi ho chuke hain
aur zaKHmi KHwab

nadida jaziron ki zamin par
is tarah bikhre paDe hain

jis tarah tufan-zada kashti ke TukDon ko
samundar sahilon par phenk deta hai

lahu ki barishen
ya KHud-kushi ki KHwahishen thin

is aziyyat ke safar mein
kaun sa mausam nahin aaya

magar aankhon mein nam
lahje mein sam

honTon pe koi naghma-e-matam nahin aaya
abhi tak dil hamare

KHanda-e-tiflan ki surat be-kudurat hain
abhi hum KHub-surat hain

zamane ho gae
hum ku-e-jaanan chhoD aae the

magar ab bhi
bahut se aashna na-ashna hamdam

aur un ki yaad ke manus qasid
aur un ki chahaton ke hijr-name

dur deson se hamari or aate hain
gulabi mausamon ki dhup

jab naurasta sabze par qadam rakhti hui
mamura-e-tan mein dar aati hai

tu barfani badan mein
ju-e-KHun aahistagi se gungunati hai

udasi ka parinda
chup ke jangal mein

sar-e-shaKH-e-nihaal-e-gham chahakta hai
koi bhula hua bisra hua dukh

aabla bin kar Tapakta hai
to yun lagta hai

jaise harf apne
zinda aawazon ki surat hain

abhi hum KHub-surat hain
hamari KHush-numai harf-e-haq ki ru-numai hai

usi KHatir to hum aashufta-jaan
ushshaq ki yaadon mein rahte hain

ki jo un par guzarti hai wo kahte hain
hamari harf-sazi

ab bhi mahbub-e-jahan hai
shaeri shorid-gan-e-ishq ke wird-e-zaban hai

aur gulabon ki tarah shadan chehre
lal o marjaan ki tarah lab

sandalin hathon se
chahat aur aqidat ki bayazon par

hamare nam likhte hain
sabhi dard-ashna

isar mashrab
ham-nafas ahl-e-qafas

jab maqtalon ki samt jate hain
hamare bait gate hain

abhi tak naz karte hain sab ahl-e-qafila
apne hudi-KHwanon par aashufta-kalamon par

abhi hum dastaKHat karte hain apne qatl-namon par
abhi hum aasmanon ki amanat

aur zaminon ki zarurat hain
abhi hum KHub-surat hain