abhi
kuchh KHarashen hain chehre pe mere
abhi waqt ke
saKHt naKHun ki yaaden
satati hain mujh ko Daraati hain mujh ko
miyan
mom KHwabon ki mere pighalti na kaise
meri samt suraj uchhaala gaya tha
main shoalon ki daldal mein dhansne laga tha
mere dast-o-pa sab jhulasne lage the
bahut shor mujh mein uTha tha
har ek shai samaat se KHali
mujhe ghurti thi
nazar mein koi rasta hi nahin tha
kisi se koi wasta hi nahin tha
achanak kisi ne pukara tha mujh ko
uTho subh hone lagi hai
saba bagh mein rang bone lagi hai
hawa ke dariche mahakne lage hain
manazir faza ke chamakne lage hain
magar ye sadaqat hai 'amjad'
abhi kuchh KHarashen hain chehre pe mere
abhi aaina muzmahil hai
abhi aaina muzmahil hai
Nazm
Abhi aaina muzmahil hai
Ghufran Amjad