buDhe gharib bap ke marne pe dafatan
beTe ne socha kaise karun dafn aur kafan
apne yahan to maut mein KHarche ka hai chalan
gham se niDhaal beTe ke mathe pe thi shikan
jo kuchh tha pas dafn-o-kafan mein uTha diya
KHarche ne phir to maut ka sadma bhula diya
karna paDa jo dafan ka ta-subh intizar
mayyat ke pas chalti rahi chae bar bar
aur maut mein jo aae the bairuni rishta-dar
chae se un ki toDa gaya nind ka KHumar
aur is ke baad chalta jo phir pandan hai
lagta hai sogwar nahin mezban hai
purse ko subh sham phir aate hain rishta-dar
khana nahin to chae kam-az-kam ho ek bar
chae ke sath wae mein KHarche hain be-shumar
murde ko chhoD KHarche ko rota hai sogwar
tije ke baad daswan hai phir biswan bhi hai
phir chand roz baad hi chaaliswan bhi hai
har roz fatiha ke liye gosht chahiye
salan bhi sirf ek nahin do pakaiye
nazr-o-niyaz ke liye halwa banaiye
phir roz aane walon ko chae pilaiye
beTa bichaara dab gaya qarze ke bar se
barson tak ab chhuDaega pichha udhaar ke
phir is ke baad baaten banati hain aurten
kya kya kami rahi ye batati hain aurten
chaaliswan kuchh aise karaati hain aurten
farmaishon ke Dher lagati hain aurten
is tarah maut ko bhi tamasha bana diya
wo e'tiraaz uThae kaleja hila diya
beTe ne nam kar diya raushan jahan mein
aisi kisi ne maut na ki KHandan mein
chaaliswan kuchh aisa kiya aan-ban mein
zewar bahu ka bik gaya masnui shan mein
wo maut ki ki kumbe mein Danka baja diya
chaaliswen pe shahr ko khana khila diya
Nazm
Abba ka chaaliswan
Nashtar Amrohvi