mera ghar ajnabi lagta hai kyun aaKHir
wo rahen bhi
jo ghar tak le ke jati hain
kabhi thin aashna mujh se
magar na-ashna ab hain
bahut mayus hun sab se
mujhe pahchanne wala
nahin koi
koi rishta bhi ab apna nahin lagta
yahan ki reshmi subhen
ujale apne aangan ke
udasi se bhari shamen
chamakte raat ke tare
sabhi ye mujh se kahte hain
ki ab ke jab safar karna
jahan jaana
wahin rahna
abas hai us jagah aana
abas hai lauT kar aana
Nazm
Abas
Adil Hayat